Followers

Wednesday, February 3, 2021

Tera intezaar toh nahi



Tera intezaar toh nahi

Phir bhi shama jalaye baithe hai

Tere mere beech ka koi rishta toh nahi
Phir bhi tere khwabon ko dil mai sajaye baithe hai

Tu Humsafar na ban saka toh kya
Tere saath bitaye chote se lamhe ko apni zindagi banaye baithe hai

Likh na sake daastaan-e-mohabbat apni
Magar Teri har guftagu ko apni ghazal banaye baithe hai

Ban sake na main Teri zindagi ka shams toh kya
Tujhe apna Mehtaab banaye baithe hai

by neha mathur

3 comments:

Shukriya

  Har saans se shukriya karu us khuda ka  Niyamate jab bhi barsayi man alankrit kar diya, Shukriya karu har us pal ka, Jab jab mere guru ka ...