Followers

Friday, May 7, 2021

Shukriya

 Har saans se shukriya karu us khuda ka 

Niyamate jab bhi barsayi man alankrit kar diya,

Shukriya karu har us pal ka,


Jab jab mere guru ka aashirwaad mere sar par raha,

Lakshya Sadhana,Himmat na chodhna

Karm nishtha, dridha sankalp,

sunishchita khazane ki chaabi,

har chehre par muskaan,

Aur har ek ki dil ki dairy par apna naam ankit karna sikhaya.


Shukriya karu maat pita ka,

Andhere mai roshni ko jugnu se bhi khubsurat banaya,

Ladkhadate kadmon ko sahara sambhala

 Bure waqt mai Chattan jaisi takat bane,

Roshan karte rahe mere har us path ko jis par chalun toh ,

Kadam chume har bar safalta.


Shukriya karu apne humrahi pati ka,

Jinhone takat di ki khud uth sakun mushkilon mai,

Saraha  jo bhi karm maine kiya,

Rishton ko nibhane ka anmol paath padhaya.


Shukriya apne sathiyon ka ,

Jinhone haath thama ,

Royi toh khilkhilati hansi ka tohfa diya

Aur apni hansi ki masumiyat se kaise jodon dil ke taar yehi bataya


Shukriya prakriti ke pancho tatvon ka,

Jisne mati roop mai prana urja baha diya,

Shakti shukshma roop mai pravahit hokar mujhe mujhse mila diya.


Naman karu sadaiva is prakriti ka 

Yeh hain toh mai hun,

Pran vayu,

Mulayavan vriksha,

Chehachahate madhur dhvani sancharit pashu pakshi,

Swach saumya jal ,datri maati, 

In sabne dono hathon se harpal den ki seekh sikhaya samjhana.







Shukriya

  Har saans se shukriya karu us khuda ka  Niyamate jab bhi barsayi man alankrit kar diya, Shukriya karu har us pal ka, Jab jab mere guru ka ...